Friday 12 February 2016

Duniya Ke Aye Musafir

Duniya Ke Aye Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ye Safar hai
Jab Sa Bani Hai Dunya Lakhon Karoron AYe
Baqi Raha na koi Matti main sab samaye
Is Baat ko na bhulo sab ka yahi hashar hai
Duniya Ke Aye Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ye Safar hai
Ye aali shan Banglay wahan kaam ke nahin
hain
Makhmal main sonay walay matti mein so
rahay hain
Do Gaz zamin ka tukra mitti ka tera ghar hai
Duniya Ke Aye Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ye Safar hai
Ankhon se tunay apni dekhay hain kitnay
janazay ?
Hathon se tunay kitnay dafnaye murday ?
Anjam se tu apney itna kyun ba khabar hai
Duniya Ke Ay Musafir Manzil Teri Qabar Hai
Tay Kar Raha Hai Jo tu Do Din ka ye Safar hai.

No comments:

Post a Comment

What is Sufism?

CHAPTER I INTRODUCTION What is Sufism?   Sufism has various suggested origins. Some say it's linked to the purity (Safa) of the ...